Knock Sensor Function in Urdu By Maji




Knock sensor aik aisa sensor hai jo aik coil per mushtamil hota hai yeh sensor bhohat sensitive hota hai yani yeh halki phulki viberation bhi mehsoos kar lata hai
is sensor ka kaam yeh hota hai ke aik khas qisam ki vibration mehsoos karna, sub se pehle mein yeh bata data hoon ke yeh kahaan connect hota hai, yeh sensor Engine ke cylinder ke
sath connect hota hai, aur jub engine start hota hai aur piston oper neeche harkat karte hein aur yeh aik khas qisam ki viberation jo piston ki up down se hota hai mehsoos karta hai,
aur agar sensor aik khas qisam ki viberation mehsoos na kare to to yeh engine control module ko order karta hai ke timing mein up down kare aur jub yeh khas kisam ki viberation hasil kar lata hai
to engine wohi timing barkarar rakhta hai, aur agar engine control module bhi knock sensor ki demad ko poora na kar paye to engine control module Check ligh yani engine light odo meter mein show kar
data hai, jis ko hum scan kar ke code ke help se hum kisi khas topic pe work kar sakte hein, bahz noqat knock sensor ki coil kamzor hone ke bawajood bhi sensor aik khas qisam ki viberation hasil nhi kar pata

Mazeed Maloomat hasil hote hi Yeh post update kia jaye Ga

Post a Comment

Thanks for comment

http://youtube.com/efiautos

To be published, comments must be reviewed by the administrator *

Previous Post Next Post