How Toyota Transponder Key Works Full Information Urdu/Hindi



Transponder Key security System




Transponder key system kya hota hai?

Transponder key system aik security system hota hai ap issay anti-theft security system bhi keh sakte hein, Is system ke ke tahat programmed key ke bina car start nhi ho sakti, bina experience ke aur special tools ke key program nhi ki ja sakti. Is system mein companies car ki key mein car ke Immubilizer se key match karti hai aur tabhi car start hoti hai aik toyota cars mein takreeban 5 keys tak add kar sakte hein. Jaise Jaise cars ke new models ate ja rahe hein companies latest se latest methods use kar rahi hein.



Kya Car ki Key ki Transponder chip mein Batter use Hoti hai?

G nhi Car ki key ki Transponder chip mein koi battery use nhi hoti car ki key ki Transponder chip wirelessly current lati hai.



Car ki key ki Transponder chip Kaise wirelessly current lati hai?

Car ki key jub switch mein dalte hein to switch mein laga aik button push hota hai shyd ap jante hoon jaise hi hum car ki key car ke switch mein dalte hein to car mein beep shuru ho jati hai [tin, tin, tin], G jub hum car ke switch mein key dalte hein to car ke switch mein laga aik button push hota hai jo quickly immubilizer ko batata hai ke car ke switch mein key dal di gai aur woh switch ke gird lagay coil ko activate karta hai jis se car ke transponder key activate ho kar immubilizer se communicate karti hai aur apna encrypt code immubilizer ko batati hai theak aise hi jasie hum remote se car lock ya unlock karte hein to remote sab se pehle remote control device ko apni shanakht karwata hai tab ja ke remote control device action lati hai aur car ko lock aur unlock karti hai. agar remote ko remote control device pehchanti na ho to koi action nhi lati, yahi wajah hai ke unknown remote se remote control system device koi action nhi lati.



$ads={1}

Agar Car ke switch mein laga button kam na kare to car start ho gi?

Agar Car ke switch mein laga button kaam na kare to car start ho gi bus aik ya do second ki dalay ho gi, yeh car start karne wale pe depend karta hai agar woh switch on karte hi foran start kare to 1 ya 2 second delay ho gi waise car switch on karne ke bahd start hote 5 se zaid seconds lag sakte hein chahay kitna hi koi jaldi car start kioun na kare. jub hum switch on karte hein to tab bhi immubilizer ko patah chalta hai aur woh switch ke gird laga coil activate karta hai.



Kaise patah chalta hai ke car mein security system installed hai?

Car ke guages meter mein near radio panel ya car ke dashboard ke front pe baher se front screen se bhi nazar aati hai jaise Yaris 2009 mein installed hoti hai, aik choti c red light blink kar rahi hoti hai aur bata rahi hoti hai ke car mein security system installed hai new models car mein key ka sign jasie Avalon 2007 mein aur bahz mein Lock ka sigh hota hai, yeh light car ke swtch mein key dalte hi off ho jati hai condition yeh hai ke car ke switch mein lag apush button jo key switch mein dalte hi on hota hai kaam kar raha ho to light 1 se 2 seconds mein off ho jati hai.

Post a Comment

Thanks for comment

http://youtube.com/efiautos

To be published, comments must be reviewed by the administrator *

Previous Post Next Post